Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi



ایک بادشاہ نے تین آدمی طلب کیئے ان میں سے ایک عاشق تھا ، دوسرا نابینا تھا ، تیسرا فقیر تھا ، بادشاہ نے ان تینوں سے
 Aik Badsha Ne Teen Admi Talab Kiye In Me Se Aik Ashiq Tha,Dosra Nabeena Tha , Teesra Faqeer Tha ,Badsha Ne Un Teenio Se
 
کہا کہ میرے دماغ میں ایک مصرعہ آیا ہے تم لوگ اس کو مکمل کردو، مصرعہ یہ ہے
Kaha Keh Mere Demaagh Me Aik Misra Aaya Hai , Tum Log Isko Mukamal Kar Do , Misra Ye Hai
 
(اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں)
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 
تینوں نے تھوڑا سوچ بچار کیا اور اپنے اپنے حساب سے شعر بنائے جو کچھ یوں تھے ۔
Teeno Ne Thoda Soch Bichar Kia Aur Apne Apne Hisaab Se Shair Banaye Jo Kuch Yun Thay
 
عاشق
Aashiq
ایک سے جب دو ہوئے پھر لطف یکتائی نہیں
اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
Aik Se Jab Do Hoe Phir Lutf e Yaktayi Nahi
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 
نابینا
Na-Beena
ہم میں بینائی نہیں اور اس میں گویائی نہیں
اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
Hum Mein Beenaai Nahi Aur Uss Mein Goyayi Nahi
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 
غریب
Ghareeb 
مانگے پیسے مصور نے جیب میں پائی نہیں
اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
Maangy Paise Musawwer Ne Jaib Mein Paai Nahi
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai