Ghair Phir Ghair , Darguzar Kar De Kon Rokey Zubaan Apno Ki



دیکھ کر آن بان اپنوں کی
کیوں نکلتی ہے جان اپنوں کی
Dekh Kar Aan Baan Apno Ki
Kion Nikalti Hai Jaan Apno Ki

غیر پھر غیر، درگزر کر دے
کون روکے زبان اپنوں کی
Ghair Phir Ghair , Darguzar Kar De
Kon Rokey Zubaan Apno Ki

تیر کیسے نہ دل میں وہ اترے
جس کو چھوڑے کمان اپنوں کی
Teer Kaise Na Dil Mein Woh Utre
Jis Ko Chodey Kamaan Apno Ki

چاہِ یوسف میں پھینکنا ان کا
اس پہ آہ و فغان اپنوں کی
Chaah e Yousaf Mein Phainkna Unka
Us Pe Aah o Fughan Apno Ki

جب سے ہوں بیچنے کو رکھا گیا
تب سے چمکی دکان اپنوں کی
Jab Se Hoon Bechnay Ko Rakha Gaya
Tab Se Chamki Dukaan Apno Ki

آڑے اخلاق آ گئے ، ورنہ
لکھتا میں داستان اپنوں کی
Aadey Akhlaq Aa Gaye , Warna
Lekhta Main Dastaan Apno Ki

چھوڑ دے ساری محفلیں ابرک
تجھ سے گھٹتی ہے شان اپنوں کی
Chod Dey Sari Mehfilen ABRAK
Tujh Se Ghat'ti Hai Shaan Apno Ki

 اتباف ابرک
Atbaf Abrak
 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo