Tum agar hum say bicharnay mein na ujlat kartay Hum ibaadat ki tarah tum say muhabbat kartay



تم اگر ہم سے بچھڑنے میں نہ عجلت کرتے
ہم عبادت کی طرح تم سے محبت کرتے
میں نے پوچھا تھا فقط تم سے تغافل کا سبب
بھیگی آنکھوں سے سہی کچھ تو وضاحت کرتے
اُن کو دعویٰ تھا محبت میں جُنوں کاری کا
ہم سے وہ کیسے خسارے کی تجارت کرتے
دُکھ کا ہر روپ بہر حال ہمارا ہوتا
ہم جو تقسیم کبھی دل کی وراثت کرتے
فیصلہ اُس نے کیا ترکِ مراسم کا مگر
زندگی بیت گئی میری وضاحت کرتے

Tum agar hum say bicharnay mein na ujlat kartay
Hum ibaadat ki tarah tum say muhabbat kartay

Main nay poocha tha faqat tum say taghaaful ka sababb
Bheegi aankhon say sahi kuch toh wazaahat kartay

Unn ko daawa tha muhabbat mein junoon kaari ka
Hum say kaisay woh khasaaray ki tajaarat kartay

Dukh ka har roop beharhaal hamaara hota
Hum jo taqseem kabhi dil ki waraasat kartay

Faisala uss nay kiya tark-e-maraasim ka magar
Zindagi beet gaee meri wazaahat kartay

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo