Gaye Waqt Bhulane Zaroori Thay Buhat Khat Tere Jalanay Zaroori Thay Buhat



گۓ وقت بھلانے ضروری تھے بہت
خط تیرے جلانے ضروری تھے بہت
Gaye Waqt Bhulane Zaroori Thay Buhat 
Khat Tere Jalanay Zaroori Thay Buhat

صورتِ عشق اترے تھےجو مجھ پر
وہ آسیب بھگانے ضرروری تھے بہت
Soorat e Ishq Utray Thay Jo Mujh Par 
Woh Aasaib Bhaganay Zaroori Thay Buhat

میں ہجر میں رہتی کیوں مجبور سدا
نشاں اسکے مٹانے ضروری تھے بہت
Main Hijar Mein Rehti Kion Majboor Sada
Nishaan Uskay Mitanay Zaroori Thay Buhat

بات پارسای تک آگیی جب تو آینے
لوگوں کو دکھانے ضروری تھے بہت
Baat Paarsaai Tak Aa Gai Jab Tou Aainay
Logon Ko Dekhanay Zaroori Thay Buhat

پرانی بستیوں میں دم گھٹنے لگا
نۓ شہر بسانے ضروری تھے بہت
Puranay Bastiyon Mein Dum Ghutnay Laga
Naye Shehr Basaanay Zaroori Thay Buhat

شازیہ مرزا
Shazia Mirza

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai