Kon Kehta Hai Keh Har Dar Se Bandhey Baithay Hain Hum Tou Tere Hain Tere Dar Se Bandhey Baithay Hain



کون کہتا ہے کہ ہر در سے بندھے بیٹھے ہیں؟
ہم تو تیرے ہیں! ترے در سے بندھے بیٹھے ہیں
Kon Kehta Hai Keh Har Dar Se Bandhey Baithay Hain
Hum Tou Tere Hain Tere Dar Se Bandhey Baithay Hain
ہم سے کیوں ترکِ تعلق کا گلہ کرتے ہو؟
ہم تو خود اپنے مقدر سے بندھے بیٹھے ہیں
Hum Se Kion Tark e Ta'aluq Ka Gila Karte Ho?
Hum Tou Khud Apne Muqaddar Se Bandhey Baithay Hain
کوئی تعویذ بندھا ہے مرے "سُکھ" پر تب ہی
درد" اندر کے قلندر سے بندھے بیٹھے ہیں
Koi Ta'aweez Bandha Hai Mere "Sukh" Par Tabhi
Dard Andar Ke QALANDAR Se Bandhey Baithay Hain
کون سے پل میں میسر ہے خوشی؟ بتلاؤ 
ہم تو لمحوں کے سمندر سے بندھے بیٹھے ہیں
Konse Pal Mein Muyasar Hai Khushi ? Batlao
Hum To Lamhoon Ke Samandar Se Bandhey Baithay Hain
حال اُن کا بھی سکندر کے ہی جیسا ہو گا
وہ جو قسمت کے سکندر سے بندھے بیٹھے ہیں
 Haal Unn Ka Bhi Sikandar Ke Hi Jaisa Ho Ga
Woh Jo Qismat Ke Sikandar Se Bandhey Baithay Hain
اب وفا اور محبت تو فقط باتیں ہیں
لوگ باتوں کے بتنگڑ سے بندھے بیٹھے ہیں
Ab Wafa Aur Muhabbat Tou Faqat Batein Hain
Log Baton Ke Patangar Se Bandhey Baithay Hain
کون آزاد ہے دُنیا میں؟ سبھی لوگ یہاں
کوئی باہر کوئی اندر سے بندھے بیٹھے ہیں
 Kon Aazaad Hai Dunya Mein ? Sabhi Log Yahan
Koi Bahir Koi Andar Se Bandhey Baithay Hain
یار باقی نہیں، پر یاد تو باقی ہے علیؔ
ہم اُسی یاد کی چادر سے بندھے بیٹھے ہیں
Yaar Baqi Nahi , Par Yaad Tou Baqi Hai ALI
Hum Ussi Yaad Ki Chadar Se Bandhey Baithay Hain
علیؔ سرمد
Ali Surmad

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha