Main Ne Dartey Hoe Poocha Keh Muhabbat Ki Hai Ho Ke Mukhtaat Woh Boley,Are Hazrat ! Ki Hai



میں نے ڈرتے ہوئے پوچھا , کہ محبت کی ہے ؟
ہوکے محتاط وہ بولے , ارے حضرت! کی ہے
 Main Ne Dartey Hoe Poocha Keh Muhabbat Ki Hai
Ho Ke Mukhtaat Woh Boley,Are Hazrat ! Ki Hai

دل یہ بگڑا ہوا رہتا ہے مزاجاً سب سے
اس نے اک شخص پہ کچھ روز حکومت کی ہے
Dil Ye Bigda Hoa Rehta Hai Mizajan Sab Se
Uss Ne Ik Shakhas Pe Kuch Roz Hukomat Ki Hai
 
دل یہ حاضر ہے رہائش کو تمہاری صاحب
درو دیوار کی تازہ ہی مرمت کی ہے
Dil Ye Hazir Hai Rehaaish Ko Tumhari Sahib
Dar o Deewaar Ki Taza Hi Murammat Ki Hai

اتنے سادہ ہیں کہ سن کر مجھے پیار آتا ہے
گھر بدلنے کو بھی کہتے ہیں کہ ہجرت کی ہے
Itnay Sada Hain Keh Sun Kar Mujhe Piyaar Aata Hai
Ghar Badalney Ko Bhi Kehtey Hain Keh Hijrat Ki Hai

آپ ! کیوں اٹھ کے گئے , تخلیہ کہہ دینا تھا
آپ نے ! کس لیے بے کار یہ زحمت کی ہے
Aap Kion Uth Ke Gaye Takhulya Keh Dena Tha
Aap Ne Kis Liye Be-Kaar Ye Zahmat Ki Hai

ہم کو معلوم ہیں لوگوں کہ رویے دانش
ہم نے اس شہر میں کچھ روز سکونت کی ہے
Hum Ko Maloom Hain Logon Ke Rawayye DANISH
Hum Ne Iss Shehar Mein Kuch Roz Sukoonat Ki Hai

دانش عزیز
Danish Azeez

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo