Muhabbaton Mein Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain Khafa Hoon Jin Se , Unhi Ke Khayal Hote Hain



محبتوں میں کچھ ایسے بھی حال ھوتے ھیں
خفا ھوں جن سے، انہی کے خیال ھوتے ھیں
Muhabbaton Mein Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hoon Jin Se , Unhi Ke Khayal Hote Hain
 
مچلتے رہتے ھیں ذہنوں میں وسوسوں کی طرح
حسیں لوگ بھی جان کا وبال ھوتے ھیں
Machaltey Rehte Hain Zehnon Mein Waswaso Ki Tarah
Haseen Log Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain
 
تیری طرح میں دل کے زخم چھپاوں کیسے
کہ تیرے پاس تو لفظوں کے جال ھوتے ھیں
Teri Tarah Main Dil Ke Zakham Chupaaon Kaise
Keh Tere Paas Tou Lafzoon Ke Jaal Hote Hain 

بس ایک تو ہی سبب تو نہیں اداسی کا
طرح طرح کے دلوں کو ملال ھوتے ھیں
Bas Aik Tuu Hi Sabab Tou Nahi Udasi Ka
Tarah Tarah Ke Dilon Ko Malaal Hote Hain

سیاہ رات میں جلتے ھیں جگنووں کی طرح
دلوں کے زخم بھی محسن کمال ھوتے ھیں
Siah Raat Mein Jalte Hain Jugnoun Ki Tarah
Dilon Ke Zakham Bhi MOHSIN Kamaal Hote Hain

محسن نقوی
Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo