Yousaf Na Thay Magar Sar e Bazaar Aa Gaye Khush-Fehmian Ye Thein Keh Khareedar Aa Gaye



یوسف نہ تھے مـــگر سرِ بازار آ گئے
خوش فہمیاں یہ تھیں کہ خریدار آ گئے
Yousaf Na Thay Magar Sar e Bazaar Aa Gaye
Khush-Fehmian Ye Thein Keh Khareedar Aa Gaye


ھم کج ادا چراغ کہ جب بھی ہوا چلی
تاقوں کو چھوڑ کر  سرِ دیوار آ گئے
Hum Kaj-Ada Chiraagh Keh Jab Bhi Hawa Chali
Taaqoon Ko Chod Kar Sar e Deewaar Aa Gaye


پھر اس طرح ہُوا  مجھے مقتل میں چھوڑ کر
سب چارہ ساز جانبِ دربار آ گئے
Phir Iss Tarah Hoa Mujhe Maqtal Mein Chod Kar
Sab Chara-Saaz Janib e Darbaar Aa Gaye


اَب دل میں حوصلہ نہ سکت بازوں میں ہے
اب کے مقابلے پہ میرے یار آ گئے
Ab Dil Mein Housala Na Sakat Bazoun Mein Hai
Ab Ke Muqablay Pe Mere Yaar Aa Gaye


آواز دے کے چُھپ گئی ہر بار زندگی
ہم ایسے سادہ دل تھے کہ ہر بار آ گئے
Aawaaz De Ke Chup Gai Har Baar Zindagi
Hum Aise Sada-Dil Thay Keh Har Baar Aa Gaye


یہ سوچ کر کہ غم کے خریدار آ گئے
ہم خواب بیچنے سر بازار آ گئے
Ye Soch Kar Keh Gham Ke Khareedaar Aa Gaye
Hum Khuwaab Baichnay Sar E Bazaar Aa Gaye


سورج کی روشنی پہ جنہیں ناز تھا فرازؔ
وہ بھی تو زیرِ سایۂ دیوار آ گئے
Soraj Ki Roshni Pe Jinhein Naaz Tha FARAZ
Woh Bhi Tou Zer e Saaya e Deewaar Aa Gaye


فرازؔ
Faraz

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha