Mehman Char Din Ke Aur Ghar Samajh Lia Hai Hum Ne Saraab Ko Hi Manzar Samajh Lia Hai



مہمان چار دن کے اور گھر سمجھ لیا ہے
ہم نے سراب کو ہی منظر سمجھ لیا ہے
Mehman Char Din Ke Aur Ghar Samajh Lia Hai
Hum Ne Saraab Ko Hi Manzar Samajh Lia Hai
 
کتنوں نے کر لیا ہے دنیا کو اب مسخر
خود کو سکندروں سے برتر سمجھ لیا ہے
 Kitno Ne Kar Lia Hai Dunya Ko Ab Musakhar 
Khud Ko Sikandaro Se Bartar Samajh Lia Hai

اچھا ہے کیا برا کیا، اس بات سے غرض کیا
بس ذات ہی کو اپنی محور سمجھ لیا ہے
Acha Hai Kia Bura Kia Iss Baat Se Gharaz Kia 
Bas Zaat Hi Ko Hi Apni Mehwar Samajh Lia Hai 
 
بھولے کتاب کو ہم، پیغام سارا بھولے
بھٹکے مسافروں کو رہبر سمجھ لیا ہے
Bhooly Kitab Ko Hum Paigham Sara Bhooly
Bhatkay Musafiro Ko Rehbar Samajh Lia Hai

ہوتے سبق نہیں جو اب یاد اس جہاں کو
ان کو نصاب سے ہی باہر سمجھ لیا ہے
 Hote Sabaq Nahi Jo Ab Yaad Iss Jahan Ko
Inn Ko Nasaab Se Hi Bahir Samajh Lia Hai

تہذیب اپنی کھوئی، کھو بیٹھے علم سارا
رنگینئی جہاں کو زیور سمجھ لیا ہے
Tahzeeb Apni Khoii Kho Baithay Ilam Sara
Rangeeni e Jahan Ko Zewar Samajh Lia Hai 

خود نقص سے مبرا، خود عیب سے ہیں عاری
اور سب کو راستے کا پتھر سمجھ لیا ہے
 Khud Nuqs Se Mubara Khud Aaib Se Hain Aari
Aur Sab Ko Rastay Ka Pathar Samajh Lia Hai

سمجھے گا خاک کوئی اب راز اس جہاں کے
قطرے نے خود کو ابرک ساگر سمجھ لیا ہے
 Samjhe Ga Khaak Koi Ab Raaz Iss Jahan Ka
Qatre Ne Khud Ko ABRAK Sagar Samajh Lia Hai

Atbaf Abrak
 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai