Yun Di Humein Aazaadi Keh Dunya Hoi Hairaan Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan



یوں دی ہمیں آزادی کہ دنیا ہوئی حیران
اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان
 Yun Di Humein Aazaadi Keh Dunya Hoi Hairaan
Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan

ہر سمت مسلمانوں پہ چھائی تھی تباہی
ملک اپنا تھا اور غیروں کے ہاتھوں میں تھی شاہی
Har Simt Musalmano Pe Chhaai Thi Tabahi
Mulk Apna Tha Aur Ghairo Ke Haatho Mein Thi Shahi

ایسے میں اٹھا دین محمد کا سپاہی
اور نعرہء تکبیر سے دی تو نے گواہی
Aise Mein Utha Deen e MUHAMMAD Ka Sepahi
Aur Na'ara e Takbeer Se Di Tu Ne Gawahi

اسلام کا جھنڈا لئے آیا سر میدان
اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان
Islam Ka Jhanda Liye Aaya Sar e Maidaan
Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan

دیکھا تھا جو اقبال نے اک خواب سہانا
اس خواب کو اک روز حقیقت ہے بنانا
Dekha Tha Jo IQBAL Ne Ik Khuwaab Suhana
Uss Khuwaab Ko Ik Roz Haqeeqat Hai Banana

یہ سوچا جو تو نے ہنسا تجھ پہ زمانہ
ہر چال سے چاہا تجھے دشمن نے ہرانا
Ye Socha Jo Tu Ne Hansa Tujh Pe Zamana
Har Chhaal Se Chaha Tujhe Dushman Ne Harana

مارا وہ تو نے داوء کہ دشمن بھی گئے مان
اے قائد اعظم تیرا احسان ہے احسان
Mara Woh Tu Ne Dav Keh Dushman Bhi Gaye Maan
Ay Quaid e Azam Tera Ihsaan Hai Ihsaan

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo