Apni Shaam Ko Jab Nazr e Jaam Karte Hain Falak Se Hum Ko Sitare Salaam Karte Hain
اپنی شام کو جب نذرِ جام کرتے ہیں
فلک سے ہم کو ستارے سلام کرتے ہیں
Apni Shaam Ko Jab Nazr e Jaam Karte Hain
Falak Se Hum Ko Sitare Salaam Karte Hain
سجائیں کیوں نہ اسے یہ سرائے ہے دل کی
یہاں حسِین مسافر قیام کرتے ہیں
Sajaein Kion Na Ussay Ye Saraai Hai Dil Ki
Yahaan Haseen Musafir Qayaam Karte Hain
گلے لگاتے ہیں دشمن کو بھی سرور میں ہم
بہت برے ہیں، مگر نیک کام کرتے ہیں
Galey Lagate Hain Dushman Ko Bhi Suroor Mein
Buhat Bure Hain Magar Nek Kaam Karte Hain
حیات بیچ دیں تھوڑے سے پیار کے بدلے
یہ کاروبار بھی تیرے غلام کرتے ہیں
Hayaat Bech Den Thodey Se Piyaar Ke Badley
Ye Karobaar Bhi Tere Ghulam Karte Hain
وہ جن کو دیکھ کے دل میں خدا کی یاد آئے
ہم ان بتوں کا بڑا احترام کرتے ہیں
Woh Jin Ko Dekh Ke Dil Mein Khuda Ki Yaad Aaye
Hum Unn Button Ka Bada Ehteraam Karte Hain
ہمیں بس ایک نظر سے نواز اے ساقی
ہم اپنے ہوش و خرد تیرے نام کرتے ہیں
Humain Bas Aik Nazar Se Nawaz Ay Saaqi
Hum Apne Hosh o Khird Tere Naam Karte Hain
قتیلؔ کتنے سخن ساز ہیں وہ سناٹے
سکوتِ شب میں جو ہم سے کلام کرتے ہیں
QATEEL Kitney Sukhan Saaz Hain Woh San,natey
Sukoot e Shab Mein Jo Hum Se Kalaam Karte Hain
قتیل شفائی
Qateel Shifaai
Comments
Post a Comment