Manzil se aagay barh kar manzil tallaash kar Mil jae tujh ko darya tou samandar talaash kar



منزل سے آگے بڑھ کر منزل تلاش کر
مل جائے تجھکو دریا تو سمندر تلاش کر
Manzil se aagay barh kar manzil tallaash kar
Mil jae tujh ko darya tou samandar talaash kar


ہرشیشہ ٹوٹ جاتا ہےپتھر کی چوٹ سے
پتھر ہی ٹوٹ جائے، وہ شیشہ تلاش کر
Har sheesha toot jata hai pathar ki chout se
Pathar hi toot jae woh sheesha talaash kar


سجدوں سےتیرےکیاہواصدیاں گزرگئیں
دنیا تیری بدل دے، وہ سجدہ تلاش کر
Sajdon se tere kia hoa sadiyan guzar gaein
Dunya teri badal dy woh sajda talaash kar


ایمان تیرا لُٹ گیا رہزن کے ہاتھوں سے
ایماں تیرا بچا لے ، وہ رہبر تلاش کر
Emaan tera lut gaya rahzan ke haathon se
Emaan tera bacha ly woh rehbar talaash kar


ہر شخص جل رہا ہے عداوت کی آگ میں
اس آگ کو بجھا دے وہ پانی تلاش کر
Har Shakhs jal raha hai aadawat ki aag mein
iss aag ko bujha dy woh paani talaash kar


کرے سوار اونٹ پہ اپنے غلام کو
پیدل ہی خود چلے جو وہ آقا تلاش کر.
Kare sawaar oont pe apne ghulaam ko
Paidal hi khud chalay jo woh aaqa talaash kar


علامہ اقبال
Dr Allama Muhammad Iqbal

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo