Wabaa-e-Aam Se Mrney Ka Khof Apni Jagah Kiwaar Khol K Dekho, Bahaar Aai Hai !



وبائے عام سے مرنے کا خوف اپنی جگہ
کواڑ کھول کے دیکھو، بہار آئی ہے
گُلوں سے بھرنے لگے ایشیا کے لالہ زار
وہ دیکھو ہوگئے یورپ کے آسماں شفّاف
بہت چمکنے لگا ہے ہمارا سیّارہ
پرندے گانے لگے ہیں، ہوائیں ہوگئیں صاف
گھروں کے صحنوں میں کلکاریاں ہیں بچوں کی
محبتوں کے دیے ہیں ہر اک شبستاں میں
وہ دیکھو، چُوم رہا ہے فلک کو ماہِ تمام
ابھی بھی خواب ہیں دامانِ نوعِ انساں میں
لہُو میں خوف سہی، دل میں وسوسے ہی سہی
وبا سے جنگ کے یہ روز و شب بُرے ہی سہی
مگر اُمید کی لَو پھر سے ٹمٹمائی ہے
کواڑ کھول کے دیکھو، بہار آئی ہے
رحمان فارس

Wabaa-e-Aam Se Mrney Ka Khof Apni Jagah
Kiwaar Khol K Dekho, Bahaar Aai Hai !

Gulon Se Bharney Lagey “Asia” K Laala-Zaar
Woh Dekho Ho Gaey “Europe” K Aasmaan Shaffaaf
Bohot Chamakney Lga Hai Hamara Sayyara
Prindey Gaaney Lagey Hein, Hawaaein Ho Gaieen Saaf

Gharon K Sehnon Mein Kilkaariyaan Hein Bacchon Ki
Muhabbaton K Diey Hein Har Ik Shabistaan Mein
Woh Dekho, Choom Raha Hai Falak Ko Maah-e-Tamaam
Abhi Bhi Khuwaab Hein Daamaan-e-Noey-Insaan Mein

Lahoo Mein Khof Sahi, Dil Mein Waswasey Hi Sahi
Wabaa Se Jang K Yeh Roz-o-Shab Burey Hi Sahi
Magar Umeed Ki Lau Phir Se Timtimaai Hai
Kiwaar Khol K Dekho, Bahaar Aai Hai

Rehman Faris

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo