kitna veeran teri yadoon ka nagar daikha chashm e nam say ham nay tera ghar daikha



 کتنا ویراں تیری یادوں کا نگر دیکھا
چشمِ نم سے ہم نے تیرا گھر دیکھا

پیوستہ تھا اُمیدِ بہار سے اب تک جو
خزاں کے بعد اُجڑا ہوا وہ شجر دیکھا

جو کٹ گیا اُس کی تو خبر ہی نہ تھی 
جو بچ گیاتھا بن تیرے وہی سفر دیکھا
kitna veeran teri yadoon ka nagar daikha
chashm e nam say ham nay tera ghar daikha

pewasta tha umaeed e bahaar say ab tak jo
khizan kay baad ujrra hova woh shajar daikha

jo kat giya us ki to khabar hi na thi
jo bach giya tha bin tere wohi safar daikha

Ghulam Mustafa


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna