Dil Ke Lut Jane Ka Izhaar Zarori To Nahi Ye Tamasha Sar e Aam Zarori To Nahi



دل کے لُٹ جانے کا اظہار ضروری تو نہیں 
  یہ تماشا سرِ عام ضروری تو نہیں
 
مجھے تھا عشق تیری روح سے اور اب بھی ہے
جسم سے ہو کوئی سروکار یہ ضروری تو نہیں
 
میں تجھے ٹوٹ کر چاہوں تو میری فطرت ہے
تو بھی ہو میرا طلب گار یہ ضروری تو نہیں
 
اے ستمگر ذرا جھانک میری آنکھوں میں
زباں سے ہو پیار کا اظہار ضروری تو نہیں
Dil Ke Lut Jane Ka Izhaar Zarori To Nahi
Ye Tamasha Sar e Aam Zarori To Nahi

Mujhe Tha Ishq Teri Rooh Se Aur Ab Bhi Hai
Jisam Se Ho Koi Sar o Kaar Ye Zarori To Nahi

Main Tujhe Toot Kar Chahon To Meri Fitrat Hai
Tu Bhi Ho Mera Talabgaar Ye Zarori To Nahi

Aey Sitamgar Zara Jhank Meri Aankhon Mein
Zubaan Se Ho Piyar Ka Izhaar Zarori To Nahi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo