Ye aks e dagh e shikast e paiman wo rang e zakhm e khuloos e yaran Main gham-gusaron mein sochta hoon ke bat chhedoon kahan kahan se



ﯾﮧ ﻋﮑﺲ ﺩﺍﻍ ﺷﮑﺴﺖ ﭘﯿﻤﺎﮞ ﻭﮦ ﺭﻧﮓ ﺯﺧﻢ ﺧﻠﻮﺹ ﯾﺎﺭﺍﮞ
 ﻣﯿﮟ ﻏﻤﮕﺴﺎﺭﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﭼﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﮐﮧ ﺑﺎﺕ ﭼﮭﯿﮍﻭﮞ ﮐﮩﺎﮞ ﮐﮩﺎﮞ ﺳﮯ
 ﯾﮧ ﺳﻨﮕﺮﯾﺰﮮ ﻋﺪﺍﻭﺗﻮﮞ ﮐﮯ ﻭﮦ ﺁﺑﮕﯿﻨﮯ ﺳﺨﺎﻭﺗﻮﮞ ﮐﮯ
ﺩﻝ ﻣﺴﺎﻓﺮ ﻗﺒﻮﻝ ﮐﺮ ﻟﮯ، ﻣﻼ ﮨﮯ ﺟﻮ ﮐﭽﮫ ﺟﮩﺎﮞ ﺟﮩﺎﮞ ﺳﮯ
 ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﺑﭽﮭﮍ ﭼﻼ ﺗﮭﺎ ﺗﻮ ﻧﺴﺒﺘﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﮔﻨﻮﺍ ﮐﮯ ﺟﺎﺗﺎ
 ﺗﺮﮮ ﻟﯿﮯ ﺷﮩﺮ ﺑﮭﺮ ﻣﯿﮟ ﺍﺏ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﺯﺧﻢ ﮐﮭﺎﺅﮞ ﺯﺑﺎﮞ ﺯﺑﺎﮞ ﺳﮯ
 ﻣﺮﯼ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﮯ ﻭﺍﮨﻤﻮﮞ ﺳﮯ ﭘﺮﮮ ﺗﮭﺎ ﺗﯿﺮﺍ ﻭﺟﻮﺩ ﻭﺭﻧﮧ
ﺟﮩﺎﮞ ﺟﮩﺎﮞ ﺗﯿﺮﺍ ﻋﮑﺲ ﭨﮭﮩﺮﺍ، ﻣﯿﮟ ﮨﻮ ﮐﮯ ﺁﯾﺎ ﻭﮨﺎﮞ ﻭﮨﺎﮞ ﺳﮯ
 ﺗﻮ ﮨم ﻧفس ﮨﮯ ﻧﮧ ﮨﻤﺴﻔﺮ ﮨﮯ ﮐﺴﮯ ﺧﺒﺮ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺗﻮ ﮐﺪﮬﺮ ﮨﮯ
ﻣﯿﮟ ﺩﺳﺘﮑﯿﮟ ﺩﮮ ﮐﮯ ﭘﻮﭼﮫ ﺑﯿﭩﮭﺎ ﻣﮑﯿﮟ ﻣﮑﯿﮟ ﺳﮯ، ﻣﮑﺎﮞ ﻣﮑﺎﮞ ﺳﮯ
 ﺍﺑﮭﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﺍﺳﻢ ﺍﻋﻈﻢ ﻟﺒﻮﮞ ﭘﮧ ﺭﮨﻨﮯ ﺩﮮ ﺟﺎﻥ ﻣﺤﺴﻦ
ﺍﺑﮭﯽ ﮨﮯ ﭼﺎﮨﺖ ﻧﺌﯽ ﻧﺌﯽ ﺳﯽ، ﺍﺑﮭﯽ ﮨﯿﮟ ﺟﺬﺑﮯ ﺟﻮﺍﮞ ﺟﻮﺍﮞ ﺳﮯ
ﻣﺤﺴﻦ ﻧﻘﻮﯼ

Ye aks e dagh e shikast e paiman  wo rang e zakhm e khuloos e yaran
Main gham-gusaron mein sochta hoon ke bat chhedoon kahan kahan se
Ye sang reze adawaton ke wo abgeene sakhawaton ke
Dil e musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se
Bichhadne wale bichhad chala tha to nisbaten bhi ganwa ke jata
Tere liye shehr bhar mein ab bhi main zakhm khhaoun zuban zuban se
Meri muhabbat ke wahimon se pare tha tera wujood warna
Jahan jahan tera aks thehra, main ho ke aya wahan wahan se
Tu hum nafas hai na humsafar hai kise khabar hai ke tu kidhar hai
Main dastaken de ke pooch baitha makeen makeen se, makan makan se
Abhi muhabbat ka ism e azam labon pe rehne de jan e Mohsin
Abhi hai chahat naiy naiy si abhi hain jazbe jawan jawan se
Mohsin Naqvi



Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha