Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagay Mein Hum Pero Kar Tere Khayal Ke Phool



آج پھر درد و غم کے دھاگے میں​
ہم پرو کر ترے خیال کے پھول​
Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagay Mein
Hum Pero Kar Tere Khayal Ke Phool


ترکِ الفت کے دشت سے چن کر​
آشنائی کے ماہ و سال کے پھول​
Tark e Ulfat Ke Dasht Se Chun Kar
Aashnaai Ke Maah o Saal Ke Phool


​تیری دہلیز پر سجا آئے​
پھر تری یاد پر چڑھا آئے​
Teri Dahleez Par Saja Aaye
Phir Teri Yaad Par Charha Aaye


​باندھ کر آرزو کے پلے میں​
ہجر کی راکھ اور وصال کے پھول​
Bandh Kar Aarzoo Ke Palay Mein
Hijar Ki Raakh Aur Wisaal Ke Phool


فیض احمد فیض
Faiz Ahmad Faiz


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha