Daaein Bazo Mein Gada Teer Nahi Khench Saka Iss Liye Khoul Se Shamsheer Nahi Khench Saka



دائیں بازو میں گڑا تیر نہیں کھینچ سکا
اس لئے خول سے شمشیر نہیں کھینچ سکا
Daaein Bazo Mein Gada Teer Nahi Khench Saka
Iss Liye Khoul Se Shamsheer Nahi Khench Saka


شور اتنا تھا کہ آواز بھی ڈبے میں رہی
بھیڑ اتنی تھی کہ زنجیر نہیں کھینچ سکا
Shor Itna Tha Keh Aawaaz Bhi Dabbey Mein Rahi
Bheed Itni Thi Keh Zanjeer Nahi Khench Saka


ہر نظر سے نظرانداز شدہ منظر ہوں
وہ مداری ہوں جو رہگیر نہیں کھینچ سکا
Har Nazar Se Nazarandaz Shuda Manzar Hoon
Woh Madari Hoon Jo Rahgeer Nahi Khench Saka


میں نے محنت سے ہتھیلی پہ لکیریں کھینچیں
وہ، جنہیں کاتبِ تقدیر نہیں کھینچ سکا
Main Ne Mehnat Se Hathaili Pe Lakeeren Khenchein
Woh Jinhein Katib e Taqdeer Nahi Khench Saka


میں نے تصویر کشی کر کے جواں کی اولاد
ان کے بچپن کی تصاویر نہیں کھینچ سکا
Main Ne Tasweer Kashi Kar Ke Jawan Ki Aolaad
Unke Bachpan Ki Tasaweer Nahi Khench Saka


مجھ پہ اک ہجر مسلط ہے ہمیشہ کے لئے
ایسا جن ہے کہ کوئی پیر نہیں کھینچ سکا
Mujh Pe Ik Hijar Musallat Hai Hamaisha Ke Liye
Aisa Jin Hai Keh Koi Peer Nahi Khench Saka


تم پہ کیا خاک اثر ہو گا مرے شعروں کا؟
تم کو تو میر تقی میر نہیں کھینچ سکا
Tum Pe Kia Khaak Asar Hoga Mere Shairon Ka?
Tum Ko Tou Meer Taqi Meer Nahi Khench Saka


عمیر نجمی
Umair Najmi



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo