Zindagi Se Yahi Gila Hai Mujhe Tu Buhat Der Se Mila Hai Mujhe



زندگی سے یہی گلہ ہے مجھے
توبہت دیرسے ملا ہے مجھے

تو محبت سے کوئی چال تو چل
ہار جانے کا حوصلہ ہے مجھے

دل دھڑکتا نہیں ٹپکتا ہے
کل جو خواہش تھی آبلہ ہے مجھے

ہم سفر چاہیئے ہجوم نہیں
اِک مسافر بھی قافلہ ہے مجھے

کوہ کن ہو کہ قیس ہو کہ فراز
سب میں اِک شخص ہی ملا ہے مجھے

کلام : احمد فراز


Zindagi Se Yahi Gila Hai Mujhe

Tu Buhat Der Se Mila Hai Mujhe


Tu Muhabbat Se Koi Chaal To Chal

Haar Jane Ka Housala Hai Mujhe


Dil Dhadakta Nahi Tapakta Hai

Kal Jo Khuwahish Thi AablaHai Mujhe


Hum Safar Chahiye Hujoom Nahi

Ik Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe

 

Koh-Kun Ho Keh Qais Ho Keh FARAZ

Sab Mein Ik Shakhs Hi Mila Hai Mujhe


Ahmad Faraz


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai