To Kia Ye Tey Hai Keh Ab Umar Bhar Nahi Milna To Phir Ye Umar Bhar Bhi Kion Tum Se Gar Nahi Milna
تو کیا یہ طے ہے، کہ اب عمر بھرنہیں ملنا
تو پھر یہ عمربھی کیوں، تم سے گرنہیں ملنا
یہ کون چُپکے سے تنہائیوں میں کہتا ہے
تِرے بغیر سُکوں عُمْر بھر نہیں ملنا
چلو زمانے کی خاطر یہ جبْر بھی سہہ لیں
کہ اب مِلے تو کبھی ٹوٹ کر نہیں ملنا
رہِ وفا کے مُسافر کو کون سمجھائے
کہ اِس سفر میں کوئی ہمسفرنہیں ملنا
جُدا تو جب بھی ہوئے دِل کو یوں لگا جیسے
کہ اب گئے تو کبھی لوٹ کر نہیں ملنا
سُرُور بارہ بنکوی
To Kia Ye Tey Hai Keh Ab Umar Bhar Nahi Milna
To Phir Ye Umar Bhar Bhi Kion Tum Se Gar Nahi Milna
Ye Kon Chupkey Se Tanhaaion Mein Kehta Hai
Tere Baghair Sukoon Umar Bhar Nahi Milna
Chalo Zamane Ki Khatir Ye Jabar Bhi Seh Lein
Keh Ab Milay To Kabhi Toot Ke Nahi Milna
Ro e Wafa Ke Musafir Ko Kon Samjhaye
Keh Iss Safar Mein Koi Humsafar Nahi Milna
Juda To Jab Bhi Hoe Dil Ko Yun Laga Jaise
Keh Ab Gaye To Kabhi Lout Kar Nahi Milna
Suroor Barahbankvi
Comments
Post a Comment