Ab kis say kahein ore kon sunay jo haal tumharay baad howa iss dil ki jheel si aankhoon mein ik khawaab buhat barbad howa



اب کس سے کہیں اور کون سنے  جو  حال  تمہارے بعد ہوا
اس دل کی جھیل سی آنکھوں میں اک خواب بہت برباد ہوا


یہ ہجر  ہوا  بھی  دشمن  ہے  اس  نام کے  سارے  رنگوں کی
وہ  نام  جو  میرے  ہونٹوں  پر  خوشبو  کی  طرح آباد  ہوا


اس شہر میں کتنے چہرے تھے کچھ یاد نہیں سب بھول گئے
اک  شخص  کتابوں  جیسا  تھا: وہ  شخص  زبانی  یاد ہوا


وہ  اپنے  گاؤں کی  گلیاں  تھیں دل جن میں ناچتا گاتا تھا
اب  اس  سے   فرق  نہیں    پڑتا   ناشاد   ہوا  یا شاد  ہوا


بے نام  ستائش  رہتی  تھی  ان گہری سانولی آنکھوں میں
ایسا  تو  کبھی  سوچا  بھی  نہ  تھا  کہ  دل کتنا بےداد ہوا
نوشی گیلانی
 

Ab kis say kahein ore kon sunay jo haal tumharay baad howa
iss dil ki jheel si aankhoon mein ik khawaab buhat barbad howa


yeh hijar hawa bhi dushman hai is nam kay sary rangoon ki
woh nam jo mairay honton par khushbo ki tarah aabad howa


is shahar mein kitnay chehry thay kuch yaad nahi sab bhool gaye
ik shakhs kitaboon jaisa tha woh shakhs zubani yaad raha


woh apnay gaoun ki galiyan thein dil jin mein nachta gata tha
ab is say farq nahi parrta nashad howa ya shad howa


benam sataish rehti thi in gehri sanwli aankhoon mein
aisa to kabhi socha bhi na tha keh dil kitna bedad howa

Noshi Gilani


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo