Apni Gardan Jhuka Ke Peetay Hein Hum Musalla Bicha Ke Peetay Hein



شرابی میں شرابی

Sharaabi Main Sharaabi

 
اپنی گردن جھکا کے پیتے ہیں
ہم مصلےٰ بچھا کے پیتے ہیں

Apni Gardan Jhuka Ke Peetay Hein

Hum Musalla Bicha Ke Peetay Hein


سجدہ کرتے ہیں دن میں جی بھر کے
رات بھر جی لگا کے پیتے ہیں

Sajdah Kartey HeinDin Mein Jee Bhar Ke

Raat Bhar Jee Laga Ke Peetay Hein


کھینچئے انتظارِ ساغر آپ
ہم صراحی اٹھا کے پیتے ہیں

Kijiye Intezar e Saghar Aap

Hum Surahi Utha Ke Peetay Hein


مے کدے میں کہاں ہماری شراب
روز مقتل میں جا کے پیتے ہیں

Mai-Kaday Mein Kahan Humari Sharaab

Roz MaqtalMein Ja Ke Peetay Hein


رہ گئے شیخ جی وضو کرتے
ہم لہو میں نہا کے پیتے ہیں

Reh Gaye Sheikh Jee Wazo Karte

Hum Lahoo Mein Naha Ke Peetay Hein


بیَن کرتی ہے قلقلِ مینا
ہم بھی آنسو بہا کے پیتے ہیں

Bain Karti Hai Qulqul e Maina

Hum Bhi Aansoo Baha Ke Peetay Hein


روشنی کو فروغِ مے ہے بہت
لو، دیا ہم بجھا کے پیتے ہیں

Roshni Ko Farogh Mai Hai Buhat

Lou , Diya Hum Bujha Ke Peetay Hein


استقامت شراب دیتی ہے
پاؤں ہم بھی جما کے پیتے ہیں

Isteqamat Sharaab Deti Hai

Paoun Hum Bhi Jama Ke Peetay Hein


ہم کو چڑھتی ہے اس لئے بھی کہ ہم
اپنی ہستی گھٹا کے پیتے ہیں

Hum Ko Charhti Hai Is Liye Bhi Keh Hum

Apni Hasti Ghata Ke Peetay Hein


آپ سمجھیں گے کیا مری مستی
آپ پانی ملا کے پیتے ہیں

Aap Samjheingy Kia Meri Masti

Aap Paani Mila Ke Peetay Hein


عارف امام

Arif Imam


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha