Barf Girti Rahi Aasmaanon Ke Us Paar Se Raat Bhar Barf Girti Rahi Baadlon K Katoron Mein Tha Munjmid



برف گرتی رہی
آسمانوں کے اُس پار سے رات بھر
برف گرتی رہی
بادلوں کے کٹوروں میں تھا مُنجمد
دیوتاؤں، خداؤں کا آبِ وضُو
اور سبُو در سبُو
برف کے چھینٹے ریشم کے پھولوں کی صورت بکھرتے رہے
نرم گالے، خموشی میں لپٹے ہوئے
سب چھتوں اور کھیتوں پہ کچّی سفیدی چھڑکتے رہے
خالی گلیاں کہ جیسے چمکتے سُفید اُون کی بِلّیاں
برف کے سرسراتے لحاف اوڑھ کر
پُرسکوں ہوگئیں
اور پھر سو گئیں
خامشی میں صدا کی ملاوٹ نہ تھی
کوئی آہٹ نہ تھی
خوابگاہوں میں لوگ اپنے پیاروں پہ بوسے لُٹاتے رہے
بے شکن بستروں پر شکن در شکن
گرم گاڑھے بدن
لمس کے ان کہے رنگ بھرتے رہے
آگ کی گود میں کسمساتی ہوئی لکڑیاں جل بُجھیں
جسم تپتے رہے
ہر جنُوں کو سہارا میسر رہا
ہر نظر کو ستارہ میسر رہا
ہر مُحِب اپنے محبوب سے مُتّصل
ہاں مگر صرف دو روتے کُرلاتے دل
جو کہ اک دوسرے کے نہ تھے رُوبرُو
ایک مَیں، ایک تُو
رحمان فارس


Barf Girti Rahi
Aasmaanon Ke Us Paar Se Raat Bhar
Barf Girti Rahi
Baadlon K Katoron Mein Tha Munjmid
Devtaaon, Khudaaon Ka Aab-e-Wuzoo
Aur Sboo-dar-Sboo
Barf Ke Chhaintey Resham K Phoolon Ki  Soorat Bikhrtey Rahey
Narm Gaaley, Khmoshi Mein Liptey Huey
Sab Chhton Aur Kheton Pe Kacchi Safaidi Chhiraktey Rahey
Khaali Gliyaan K Jesey Chmaktey Sufaaid Oon Ki Billiyaan
Barf K Sarsraatey Lihaaf Orh Kar
Pur-Sukoon Ho Gaieen
Aur Phir So Gaieen
Khaamshi Mein Sadaa Ki Milaawat Na Thi
Koi Aahat Na Thi
Khwaabgaahon Mein Log Apney Pyaaron Pe Bosey Lutaatey Rahey
Be-shikan Bistaron Par Shikan-dar-Shikan
Garm Gaarhey Badan
Lams K An-kahe Rang Bhrtey Rahey
Aag Ki God Mein Kasmsaati Hui Lakriyan Jal Bujheen
Jism Taptey Rahey
Har Junoon Ko Sahaara Muyassar Raha
Har Nazar Ko Sitaara Muyassar Raha
Har Muhib Apney Mehboob Se Muttasil
Haan Magar Sirf Do Rotey Kurlaatey Dil
Jo K Ik Doosrey K Na They Ru-Ba-ru
Aik Main, Aik Tu !
Rehman Faris


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha