Kahan Ho Tum Chalay Aao Muhabbat Ka Taqaza Hai Gham e Dunya Se Ghabra Kar Tumhein Dil Ne Pukara Hai



Kahan Ho Tum Chalay Aao Muhabbat Ka Taqaza Hai

Gham e Dunya Se Ghabra Kar Tumhein Dil Ne Pukara Hai

Tumhari Be-Rukhi Ik Din Hamari Jaan Le Le Gi

Qasam Tum Ko Zara Socho Keh Dastoor e Wafa Kia Hai

Najane Kis Liye Dunya Ki Nazrein Phir Gai Hum Se

Tumhein Dekha Tumhein Chaha Qasoor Uske Siwa Kia Hai

Na Hai Faryaad Honton Par Na Aankhon Mein Koi Aansoo

Zamane Se Mila Jo Gham Usay Geeton Mein Dhala Hai

Behzad Lakhnavi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo