Laghzishon Se Mavra Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi Dono Insan Hein Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
افتخار عارف کی ایگ بہت ہی خوبصورت غزل
Iftekhar Arif Ki Aik Buhat Hi Khoobsorat Ghazal
لغزشوں سے ماورا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
دونوں انساں ہیں خدا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
Laghzishon Se Mavra Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insan Hein Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
تو مجھے اور میں تجھے الزام دیتا ہوں مگر
اپنے اندر جھانکتا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hoon Magar
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
مصلحت نے کر دیا دونوں میں پیدا اختلاف
ورنہ فطرت کا برا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
Maslahat Ne Kar Diya Dono Me Paida Ikhtelaaf
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
چاہتے دونوں بہت اک دوسرے کو ہیں مگر
یہ حقیقت مانتا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
Chahtey Dono Buhat Ik Dosrey Ko Hein Magar
Ye Haqeeqat Manta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
جرم کی نوعیتوں میں کچھ تفاوت ہو تو ہو
درحقیقت پارسا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
Jurm Ki Noa'ayaton Me Kuch Tafawat Ho Tou Ho
Dar-Haqeeqat Paarsa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
رات بھی ویراں فصیل شہر بھی ٹوٹی ہوئی
اور ستم یہ جاگتا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
Raat Bhi Weeraan Faseel e Shehar Bhi Tooti Hoi
Aur Sitam Ye Jagta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
جان عارفؔ تو بھی ضدی تھا انا مجھ میں بھی تھی
دونوں خود سر تھے جھکا تو بھی نہیں میں بھی نہیں
Jaan Arif Tu Bhi Ziddi Tha Anaa Mujh Me Bhi Thi
Dono Khud Sar Thay Jhuka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Comments
Post a Comment