Sansaar Ki Har Shai Ka Itna Hi Fasana Hai Ik Dhund Se Aana Hai Ik Dhund Mein Jana Hai



سنسار کی ہر شے کا اتنا ہی فسانہ ہے
اک دھند سے آنا ہے اک دھند میں جانا ہے
 Sansaar Ki Har Shai Ka Itna Hi Fasana Hai
Ik Dhund Se Aana Hai Ik Dhund Mein Jana Hai


یہ راہ کہاں سے ہے یہ راہ کہاں تک ہے
یہ راز کوئی راہی سمجھا ہے نہ جانا ہے
 Ye Raah Kahan Se Hai Ye Raah Kahan Tak Hai
Ye Raaz Koi Raahi Samjha Hai Na Jana Hai


اک پل کی پلک پر ہے ٹھہری ہوئی یہ دنیا
اک پل کے جھپکنے تک ہر کھیل سہانا ہے
Ik Pal Ki Palak Par Hai Thehri Hoi Ye Dunya
Ik Pal Ke Jhapakne Tak Har Khel Suhana Hai

 
کیا جانے کوئی کس پر کس موڑ پر کیا بیتے
اس راہ میں اے راہی ہر موڑ بہانا ہے
Kia Jane Koi Kis Par Kis Mod Par Kia Beetay
Iss Raah Mein Aey Raahi Har Mod Bahana Hai

 
ہم لوگ کھلونا ہیں اک ایسے کھلاڑی کا
جس کو ابھی صدیوں تک یہ کھیل رچانا ہے
Hum Log Khilona Hein Ik Aise Khiladi Ka
Jisko Abhi Sadiyun Tak Ye Khel Rachana Hai

 
Sahir Ludhianvi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay