Kabhi To Badly Ye Matami Rut Udasiyun Ki Meri Nigahon Mein Aik Sa Shehr e Khuwaab Kion Hai
کبھی تو بدلے یہ ماتمی رُت اُداسیوں کی
مری نگاہوں میں ایک سا شہرِ خواب کیوں ہے
Kabhi To Badly Ye Matami Rut Udasiyun Ki
Meri Nigahon Mein Aik Sa Shehr e Khuwaab Kion Hai
کبھی کبھی تیری بے نیازی سے خوف کھا کر
میں سوچتا ہوں کہ تو میرا انتخاب کیوں ہے
Kabhi Kabhi Teri Be-Niazi Se Khaof Kha Kar
Main Sochta Hoon Keh Tu Mera Intekhaab Kion Hai
ترس گئے میرے آئینے اس کے خال و خد کو
وہ آدمی ہے تو اس قدر لاجواب کیوں ہے
Tars Gaye Mere Aainay Uske Khaal o Khad Ko
Woh Aadmi Hai Tou Iss Qadar La-Jawaab Kion Hai
اُسے گنوا کر پھر اس کو پانے کا شوق کیسا
گناہ کر کے بھی انتظارِ ثواب کیوں ہے
Usay Ganwa Kar Phir Usko Paane Ka Shouq Kaisa
Gunah Kar Ke Bhi Intezaar Sawaab Kion Hai
اسے تو محسنؔ بلا کی نفرت تھی شاعروں سے
پھر اس کے ہاتھوں میں شاعری کی کتاب کیوں ہے
Usay Tou MOHSIN Bala Ki Nafrat Thi Shairon Se
Phir Uske Hathon Mein Shairi Ki Kitaab Kion Hai
محسن نقوی
Mohsin Naqvi
Comments
Post a Comment