Roti Pe Aado Rakh Ke Pakana Pada Mujhe Kuch Yun Paka Keh Peeza Mangana Pada Mujhe



روٹی پہ آڑُو رَکھ کے پکانا پڑا مجھے
کچھ یوں پکا کہ پِزّا منگانا پڑا مجھے
Roti Pe Aado Rakh Ke Pakana Pada Mujhe
Kuch Yun Paka Keh Peeza Mangana Pada Mujhe


دو یار سُن رہے تھے کہ تین اور آ گئے
پانی غزل میں اور بڑھانا پڑا مجھے
Do Yaar Sun Rahe Thay Keh Teen Aur Aa Gaye
Pani Ghazal Mein Aur Barhana Pada Mujhe


دِل میں بٹھاتا یار کو پر دِل میں کوئی تھا
کچھ روز اُس کو منہ میں بٹھانا پڑا مجھے
Dil Mein Bethata Yaar Ko Par Dil Mein Koi Tha
Kuch Roz Usko Munh Mein Bethana Pada Mujhe


جج نے کہا ، صفائی میں کچھ ہے تمہارے پاس
سونے کا اُس کو دانت دِکھانا پڑا مجھے
Jaj Ne Kaha , Safaai Mein Kuch Hai Tumhare Paas
Soney Ka Usko Dant Dekhana Pada Mujhe


پانی کی آدھی بالٹی اور اِہلِ غسل چار
مجبوری میں چراغ بجھانا پڑا مجھے
Pani Ki Aadhi Balti Aur Ahl e Ghusal Chaar
Majbori Mein Charagh Bujhana Pada Mujhe


کانوں میں چابی پھیرتے دیکھا جو بار بار
اِخلاقاً اُس کو دَھکا لگانا پڑا مجھے
Kanon Me Chabi Phairte Dekha Jo Bar Bar
Akhlaqan Usko Dhaka Lagana Pada Mujhe


باقاعدہ وُہ دیر سے آنے لگا تھا قیسؔ
دِلبر کو سرخ کارڈ دِکھانا پڑا مجھے
Baqaida Woh Der Se Aane Laga Tha QAIS
Dilbar Ko Surakh Card Dekhana Pada Mujhe


شہزادقیس
Shahzad Qais

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha