Zindagi Bhar Nahi Bhoolengy Woh Manzar Aankhen Jhankti Pardey Ke Peechay Se Do Chup Kar Aankhen



زندگی بَھر نہیں بُھولیں گی وہ مَنظر آنکھیں
جھانکتی پردے کے پیچھے سے دو چُھپ کر آنکھیں
Zindagi Bhar Nahi Bhoolengy Woh Manzar Aankhen
Jhankti Pardey Ke Peechay Se Do Chup Kar Aankhen


جنکی اک دنیا ہے مَرہُونِ فَریبِ جادُو
یاد ہیں ہم کو وہ کھوئی ہوئی ساحر آنکھیں
Jinki Ik Dunya Hai Marhon e Faraib Jadoo
Yaad Hen Hum Ko Woh Khoi Hoi Sahir Aankhen


جانے والا تو بہت دور گیا راہِ عدم
ڈھونڈتی ہیں کسے اب تک تیری مُضطر آنکھیں
Jane Wala Tou Buhat Door Gaya Rah e Adam
Dhoondti Hen Kise Ab Tak Teri Muztar Aankhen

 
غم ہی خوابیدہ ہیں شاید کہیں گہرائی  میں
سوچ میں ڈوبی ہوئی درد کا ساگر آنکھیں
Gham Hi Khuwabeeda Hen Shayed Kahein Gehraai Mein
Soch Mein Doobi Hoi Dard Ka Sagar Aankhen


 پھر کوئی شعر سجا دیں یہ لبوں پر شاید
میری بے نام تمنّاؤں کی محوَر آنکھیں
Phir Koi Shair Saja Den Ye Labon Par Shayed
Meri Be-Nam Tamannaoun Ki Mehwar Aankhen


یاد آتا ہے مجھے ماں سے بچھڑنا ارشد
دور تک پیار سے چُھوتی ہوئی بنجَر آنکھیں
Yaad Aata Hai Mujhe Maa Se Bichadna ARSHAD
Door Tak Piyar Se Choti Hoi Banjar Aankhen

مرزا ارشد علی بیگ
Mirza Arshad Ali Baig


آڈبان ،پینسلوانیا
اپریل ٢٧، ٢٠٢١
Adyan ,Pennsylvania
28 Apr 2021

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha