Us Ka Khiram Dekh Ke Jaaya Na Jaega Ae Kabk Phir Bahal Bhi Aaya Na Jaega



 
Us Ka Khiram Dekh Ke Jaaya Na Jaega
Ae Kabk Phir Bahal Bhi Aaya Na Jaega
Hum Kushtgan e Ishq Hein Abru o Chishm e Yaar
Sar Se Hamare Tegh Ka Saaya Na Jaega
Hum Rahrawan e Rah e Fana Hein Barang e Umar
Javenge Aise Khoj Bhi Paaya Na Jaega
Phoda Sa Saari Raat Jo Pakta Rahenga Dil
To Subah Tak To Haath Lagaya Na Jaega
Apne Shaheed e Naz Se Bas Haath Utha Ke Phir
Deewan e Hashar Mein Usay Laya Na Jaega
Ab Dekh Le Keh Seena Bhi Taaza Hoa Hai Chaak
Phir Hum Se Apna Haal Dekhaya Na Jaega
Hum Be-Khudan e Mehfil e Tasweer Ab Gae
Ainda Hum Se Aap Mein Aaya Na Jaega
Go Be-Sutoon Ko Taal Di Aage Se Kohkan
Sang e Garan e Ishq Uthaya Na Jaega
Hum To Gaye Thay Shekh Ko Insan Buujh Kar
Par Ab Se Khanqah Mein Jaya Na Jaega
Yaad Us Ki Itni Khoob Nahein MEER Baaz Aa
Nadan Phir Woh Jee Se Bhulaya Na Jaega

 MEER TAQI MEER

उस का ख़िराम देख के जाया न जाएगा
ऐ कब्क फिर बहाल भी आया न जाएगा
हम कशतगान-ए-इशक़ हैं अब्रू-ओ-चश्म-ए-यार
सर से हमारे तेग़ का साया न जाएगा
हम रहरवान-ए-राह-ए-फ़ना हैं बिरंग-ए-उम्र
जावेंगे ऐसे खोज भी पाया न जाएगा
फोड़ा सा सारी रात जो पकता रहेगा दिल
तो सुब्ह तक तो हाथ लगाया न जाएगा
अपने शहीद-ए-नाज़ से बस हाथ उठा कि फिर
दीवान-ए-हश्र में उसे लाया न जाएगा
अब देख ले कि सीना भी ताज़ा हुआ है चाक
फिर हम से अपना हाल दिखाया न जाएगा
हम बे-ख़ुदान-ए-महफ़िल-ए-तस्वीर अब गए
आइंदा हम से आप में आया न जाएगा
गो बे-सुतूँ को टाल दे आगे से कोहकन
संग-ए-गरान-ए-इश्क़ उठाया न जाएगा
हम तो गए थे शैख़ को इंसान बूझ कर
पर अब से ख़ानक़ाह में जाया न जाएगा
याद उस की इतनी ख़ूब नहीं 'मीर' बाज़ आ
नादान फिर वो जी से भुलाया न जाएगा

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai