Tumhare Shehar Ka Mousam Bada Suhana Lagay Main Aik Shaam Chra Loon Agar Bura Na Lagay


 

تمہارے شہر کا موسم بڑا سہانا لگے
میں ایک شام چرا لوں اگر برا نہ لگے
Tumhare Shehar Ka Mousam Bada Suhana Lagay
Main Aik Shaam Chra Loon Agar Bura Na Lagay

تمہارے بس میں اگر ہو تو بھول جاؤ مجھے
تمہیں بھلانے میں شاید مجھے زمانہ لگے
Tumhare Bas Mein Agar Ho Tou Bhool Jao Mujhe
Tumhein Bhulanay Mein Shayed Mujhe Zamana Lagay

جو ڈوبنا ہے تو اتنے سکون سے ڈوبو
کہ آس پاس کی لہروں کو بھی پتا نہ لگے
Jo Doobna Hai Tou Itnay Sukoon Se Doobo
Keh Aas Paas Ki Lehron Ko Bhi Pata Na Lagay

وہ پھول جو مرے دامن سے ہو گئے منسوب
خدا کرے انہیں بازار کی ہوا نہ لگے
Woh Phool Jo Merte Daman Se Ho Gaye Mansoob
Khuda Kare Inhein Bazar Ki Hawa Na Lagay

نہ جانے کیا ہے کسی کی اداس آنکھوں میں
وہ منہ چھپا کے بھی جائے تو بے وفا نہ لگے
Na Jane Kia Hai Kisi Ki Udaas Aankhon Mein
Woh Munh Chupa Ke Bhi Jaye Tou Be-Wafa Na Lagay

تو اس طرح سے مرے ساتھ بے وفائی کر
کہ تیرے بعد مجھے کوئی بے وفا نہ لگے
Tu Iss Tarah Se Mere Saath Be-Wafaai Kar
Keh Tere Baad Mujhe Koi Be-Wafaa Na Lagay

تم آنکھ موند کے پی جاؤ زندگی قیصرؔ
کہ ایک گھونٹ میں ممکن ہے بد مزہ نہ لگے
Tum Aankh Mond Ke Pee Jao Zindagi QAISAR
Keh Aik Ghoont Mein Mumkin Hai Bad-Maza Na Lagay

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai