Dunya Se Be-Niaz Hoon Apni Hawa Mein Hoon Jab Tak Main Tere Dil Ki Muhabbat Sara Mein Hoon
غزل
Ghazal
پروین شاکر
Parveen Shakir
دُنیا سے بے نیاز ہُوں، اپنی ہَوا میں ہُوں
جب تک میں تیرے دل کی مُحبّت سَرا میں ہُوں
Dunya Se Be-Niaz Hoon Apni Hawa Mein Hoon
Jab Tak Main Tere Dil Ki Muhabbat Sara Mein Hoon
اِک تخت اور میرے برابر وہ شاہ زاد
لگتا ہے آج رات میں شہرِ سَبا میں ہُوں
Ik Takht Aur Mere Barabar Woh Shah-Zad
Lagta Hai Aaj Raat Main Shehr e Saba Mein Hoon
خُوشبو کو رقص کرتے ہُوئے دیکھنے لگی
سحرِ بہار میں کہ طلسمِ صبا میں ہُوں
Khusboo Ko Raqs Karte Hoe Dekhnay Lagi
Sahar e Bahaar Mein Keh Talsm e Saba Mein Hoon
ورنہ غبارِ ماہ بھی کب مُجھ کو چُھو سکا
آہستہ رَو ہُوئی ہُوں کہ شہرِ نوا میں ہُوں
Warna Ghubar e Maah Bhi Kab Mujh Ko Choo Saka
Aahista Ro Hoi Hoon Keh Shehr e Nawa Mein Hoon
جیسے کوئی عقب سے بُلاتا ہے بار بار
بچپن سے اِک عجیب سرابِ صَدا میں ہُوں
Jaise Koi Aqab Se Bulata Hai Bar Bar
Bachpan Se Ik Ajeeb Saraab e Sada Mein Hoon
اِس دل کو جب سے غم کی ضمانت میں دے دیا
اُس وقت سے کِسی کے حصارِ دُعا میں ہُوں
Is Dil Ko Jab Se Gham Ki Zamanat Mein De Diya
Us Waqt Se Kisi Ke Hisar e Dua Mein Hoon
Comments
Post a Comment