Charagh e Zindagi Ko Aik Jhonkay Ki Zaroorat Hai Tumhein Meri Qasam Hai Phir , Zara Daman Ko Lehrana


 

فضا مغموم ہے ساقی ! اُٹھا چھلکائیں پیمانہ
اندھیرا بڑھ چلا ہے ، لا ذرا قندیلِ میخانہ
Fiza Maghmoom Hai Saqi ! Utha Chalkaein Paimana
Andhera Barh Chala Hai , La Zara Qandeel e Maikhana


بہ فیضِ زندگی گزرے ہیں ایسے مرحلوں سے ہم
کہ اپنے راستے میں اب نہ بستی ہے نہ ویرانہ
Ba Faiz e Zindagi Guzre Hein Aise Marhalon Se Hum
Keh Apne Rastay Mein Ab Na Basti Hai Na Weerana


بس اتنی بات پر دشمن بنی ہے گردشِ دوراں
خطا یہ ہے کہ چھیڑا کیوں تری زلفوں کا افسانہ
Bas Itni Baat Par Dushman Bani Hai Gardish e Dauran
Khata Ye Hai Keh Chaida Kion Teri Zulfon Ka Afsana


چراغِ زندگی کو ایک جھونکے کی ضرورت ہے
تمہیں میری قسم ہے پھر ، ذرا دامن کو لہرانا
Charagh e Zindagi Ko Aik Jhonkay Ki Zaroorat Hai
Tumhein Meri Qasam Hai Phir , Zara Daman Ko Lehrana

 
دلوں کو شوق سے روندو خرامِ ناز فرماؤ
اگر محشر ہوا تو پھر مجھے مجرم نہ ٹھہرانا
Dilon Ko Shouq Se Rondo Kharam e Naaz Farmao
Agar Mahshar Hoa Tou Phir Mujhe Mujrim Na Thehrana


تری محفل میں ساغرؔ سا بھی کوئی اجنبی ہوگا
یہ ظالم ایک مدت سے ، نہ اپنا ہے نہ بیگانہ
Teri Mehfil Mein SAGHAR Sa Bhi Koi Ajnabi Hoga
Ye Zulam Aik Muddat Se , Na Apna Hai Na Begana

 
ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo