Milnay Jab Kaha Tou Mila , Dukh Howa Mujhe Main Ne Bhi Mil Ke Munh Pe Kaha Dukh Howa Mujhe



مِلنے کا جب کہا تو مِلا، دُکھ ہوا مجھے
میں نے بھی مِل کے منہ پہ کہا دُکھ ہوا مجھے
Milnay Jab Kaha Tou Mila , Dukh Howa Mujhe
Main Ne Bhi Mil Ke Munh Pe Kaha Dukh Howa Mujhe
میں چاہتا تھا مجھ سے بچھڑ کر وہ خوش رہے
لیکن وہ خوش ہوا تو بڑا دُکھ ہوا مجھے
Main Chahta Tha Mujh Se Bichad Kar Woh Khush Rahay
Lekin Woh Khush Howa Tou Bada Dukh Howa Mujhe
سسّی کی داستان سنی تھی گزشتہ شب
میرے بلوچ دوست! ادا! دُکھ ہوا مجھے
Sassi Ki Dastan Suni Thi Guzishta Shab
Mere Baloch Dost ! ADA ! Dukh Howa Mujhe
اِک دُکھ تھا جس کا مجھ کو نہیں ہو رہا تھا دُکھ
لیکن جب اُس کو دُکھ نہ ہوا، دُکھ ہوا مجھے
Ik Dukh Tha Jis Ka Mujh Ko Nahi Ho Raha Tha Dukh
Lekin Jab Usko Dukh Na Howa , Dukh Howa Mujhe
اُس کے دیئے دُکھوں پہ الگ غمزدہ تھا میں
اور انتقام لے کے جُدا دُکھ ہوا مجھے
Uske Diye Dukhon Pe Alag Ghamzada Tha Main
Aur Inteqam Le Ke Juda Dukh Howa Mujhe
لگتا ہے میرے ردّعمل سے نہیں لگا
لیکن یقین کر! بخدا! دُکھ ہوا مجھے
Lagta Hai Mere Rad e Amal Se Nahi Laga
Lekin Yaqeen Kar ! Bakhuda ! Dukh Howa Mujhe
تب یہ پتہ چلا کہ مجھے اُس سے عشق ہے
جب اُس کے دُکھ پہ اُس سے سِوا دُکھ ہوا مجھے
Tab Ye Pata Chala Keh Mujhe Us Se Ishq Hai
Jab Us Ke Dukh Pe Us Se Siwa Dukh Howa
عمیر نجمی
Umair Najmi

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha