Uski Taskeen Ko Gharat Karta Kash ! Main Koi Shararat Karta



 

اس کی تسکین کو غارت کرتا
کاش! میں کوئی شرارت کرتا
Uski Taskeen Ko Gharat Karta
Kash ! Main Koi Shararat Karta
شہر در شہر فضا میں اڑ کر
میں ہواؤں کی سفارت کرتا
Shehar Dar Shehar Fiza Mein Udh Kar
Main Hawaoun Ki Safarat Karta

ایک خلقت تھی مجاور اسکی
میں کہاں اسکی زیارت کرتا ؟
Aik Khalqat Thi Mujawar Uski
Main Kahan Uski Ziyarat Karta
دیکھ کر مجھ کو نہ دیکھا اس نے
اور کیا مجھ سے حقارت کرتا
Dekh Kar Mujh Ko Na Dekha Us Ne
Aur Kia Mujh Se Haqarat Karta
دل اندھیروں سے اٹا تھا محسن
کون  روشن  یہ عمارت کرتا
Dil Andheron Se Atta Tha MOHSIN
Kon Roshan Ye Imarat Karta
محسن نقوی
Mohsin Naqvi

اک نہ اک روز تو رخصت کرتا
مجھ سے کتنی ہی محبت کرتا
Ik Na Ik Roz Tou Rukhsat Karta
Mujh Se Kitni Hi Muhabbat Karta

سب رتیں آ   کے چلی جاتیں ہیں
موسم غم بھی تو ہجرت کرتا
Sab Rutein Aa Ke Chali Jatein Hein
Mousam Gham Bhi Tou Hijarat Karta

بھیڑیے مجھ کو کہاں پا سکتے تھے ؟
وہ  اگر   میری حفاظت کرتا
Bhaidiye Mujh Ko Kahan Paa Saktay Thay?
Woh Agar Meri Hifazat Karta
میرے لہجے میں غرور آیا تھا
اسکو حق تھا کہ شکایت کرتا
Mere Lehjay Mein Ghuroor Aaya Tha
Usko Haq Tha Keh Shikayat Karta
کچھ تو تھی میری خطا ورنہ وہ کیوں
اس  طرح  ترک  رفاقت کرتا
Kuch Tou Thi Meri Khata Warna Woh Kion
Is Tarah Tark e Rafaqat Karta
اور اس سے نہ رہی کوئی طلب
بس مرے  پیار کی عزت کرتا
Aur Us Se Na Rahi Koi Talab
Bas Mere Piyar Ki Izzat Karta
پروین شاکر

Parveen Shakir


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha