Chahe Tere Firaq Mein Guzrein Hazar Saal Bhi Dil Mein Kabhi Na Aaiga Shikway Ka Ik Khayal Bhi



پروین شاکر میرا پہلا Crush تھیں۔ اُن کے نام کا ایوارڈ ملنا میرے لیے یُوں ہے جیسے کسی عاشقِ دلگیر کو بُھولے بسرے، بچھڑے محبوب کی خوشبو بھرا رُومال مل گیا ہو۔ پروین کی زمین میں ایک تازہ (ادھوری) غزل

:
چاہے ترے فراق میں گزریں ہزار سال بھی

 دل میں کبھی نہ آئے گا شکوے کا اک خیال بھی

 Chahe Tere Firaq Mein Guzrein Hazar Saal Bhi

Dil Mein Kabhi Na Aaiga Shikway Ka Ik Khayal Bhi

دامنِ کوہ میں کوئی پھول کِھلا تھا، بُجھ گیا

تب سے ہیں اُس پہ نوحہ زن غزلیں بھی اور غزال بھی

 Daman e Koh Mein Koi Phool Khila Tha , Bujh Gaya

Tab Se Hein Us Pe Nooha-Zan Ghazlein Bhi Aur Ghazaal Bhi

 تُجھ میں ہی تھا مَیں شعلہ زن، تُجھ میں ہی راکھ ہوگیا

تُو ہی مرا عروج بھی، تُو ہی مرا زوال بھی

 Tujh Mein Hi Tha Main Shoula-Zan , Tujh Mein Hi Rakh Ho Gaya

Tu Hi Mera Urooj Bhi , Tu Hi Mera Zawaal Bhi

تُو نے وفورِ شوق میں اپنا تو کہہ دیا مجھے

کہنا بڑا ہی سہل تھا، اپنے کو اب سنبھال بھی

 Tu Ne Wafoor e Shouq Mein Apna Tou Keh Diya Mujhe

Kehna Bada Hi Sahal Tha , Apne Ko Ab Sanbhal Bhi

تیرے شباب میں مجھے کیا کیا گلاب مل گئے

سبز بھی اور سفید بھی، پیلے بھی اور لال بھی

 Tere Shabaab Mein Mujhe Kia Kia Gulaab Mil Gaye

Sabz Bhi Aur Sufaid Bhi Peelay Bhi Aur Laal Bhi

تیر مجھے جو آ لگا نوک پہ اُس کے تھی دوا

 زخم کے ساتھ ہی ملا زخم کا اندمال بھی

Teer Mujhe Aa Laga Nok Pe Uske Thi Dawa

Zakham Ke Saath Hi Mila Zakham Ka Indmaal Bhi

رحمان فارس

Rehman Faris

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai