Chaman Se Barq o Sharar Se Khitab Karta Hoon Shaour o Fakar o Nazar Se Khitab Karta Hoon


 

چمن سے برق و شرر سے خِطاب کرتا ہُوں
شُعُور و فِکر و نظر سے خِطاب کرتا ہُوں
Chaman Se Barq o Sharar Se Khitab Karta Hoon
Shaour o Fakar o Nazar Se Khitab Karta Hoon

 
قدم قدم پہ کِھلاتا ہُوں گُل معانی کے
جہانِ شمس و قمر سے خِطاب کرتا ہُوں
Qadam Qadam Pe Khilata Hoon Gul Ma'ani Ke
Jahan Shams o Qamar Se Khitab Karta Hoon

 
جبِیں پہ سَطوتِ اِلہام کے تقاضے ہیں
زبانِ قلب و جِگر سے خِطاب کرتا ہُوں
Jabeen Pe Satoot e Ilham Ke Taqazay Hein
Zuban Qalb o Jigar Se Khitab Karta Hoon

 
مَیں ایک مردِ قلندر مَیں ایک دیوانہ
طُلُوعِ نُورِ سَحر سے خِطاب کرتا ہُوں
Main Aik Mard e Qalandar Main Aik Deewana
Tuloo e Noor e Sahar Se Khitab Karta Hoon

 
مِزاجِ شبنم و لالہ سے بات ہے میری
نِگاہء شُعلہ نگر سے خِطاب کرتا ہُوں
Mizaj e Shabnam o Lala Se Baat Hai Meri
Nigah e Shoula Nagar Se Khitab Karta Hoon

 
نہ کارواں سے شکایت نہ رہنُما سے کلام
غُبار راہ گُزر سے کلام کرتا ہُوں
Na Karwaan Se Shikayat Na Rahnuma Se Kalam
Ghubar Rah Guzar Se Khitab Karta Hoon

 
ہر ایک گام پہ ہیں پتّھروں کی دیواریں
سُکُوتِ اہلِ ہُنر سے خِطاب کرتا ہُوں
Har Aik Gaam Pe Hein Patharon Ki Deewarein
Sukoot Ahl e Hunar Se Khitab Karta Hoon

 
بنامِ عظمتِ یزداں کبھی کبھی ساغؔر
وقارِ حُسن و بشر سے خِطاب کرتا ہُوں
Banam e Azmat e Yazdan Kabhi Kabhi SAGHAR
Waqar e Husn o Bashar Se Khitab Karta Hoon

 
ساغرؔ صِدّیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai