Jab Se Tu Ne Mujhe Deewana Bana Rakha Hai Sang Har Shakhs Ne Hathon Mein Utha Rakha Hai


 

جب سے تو نے مجھے دیوانبنا رکھا ہے
سنگ ہر شخص نے ہاتھوں میں اٹھا رکھا ہے
Jab Se Tu Ne Mujhe Deewana Bana Rakha Hai
Sang Har Shakhs Ne Hathon Mein Utha Rakha Hai

اس کے دل پر بھی کڑی عشق میں گزری ہو گی
نام جس نے بھی محبت کا سزا رکھا ہے
Uske Dil Par Bhi Kadi Ishq Mein Guzri Hogi
Nam Jis Ne Bhi Muhabbat Ka Saza Rakha Hai

پتھروں آج میرے سر پر برستے کیوں ہو
میں نے تم کو بھی کبھی اپنا خدا رکھا ہے
Patharon Aaj Mere Sar Par Barastay Kion Ho
Main Ne Tum Ko Bhi Kabhi Apna Khuda Rakha Hai

اب میری دید کی دنیا بھی تماشائی ہے
تو نے کیا مجھ کو محبت میں بنا رکھا ہے
Ab Meri Deed Ki Dunya Bhi Tamashaai Hai
Tu Ne Kia Mujh Ko Muhabbat Mein Bana Rakha Hai

غم نہیں گل جو کیئے گھر کے ہواؤں نے چراغ
ہم نے دل کا بھی دیا ایک جلا رکھا ہے
Gham Nahi Gol Jo Kiye Ghar Ke Hawaoun Ne Charaagh
Hum Ne Dil Ka Bhi Diya Aik Jala Rakha Hai

پی جا ایام کی تلخی کو بھی ہنس کر ناصر
غم کو سہنے میں بھی قدرت نے مزہ رکھا ہے
Pee Ja Ayyam Ki Talkhi Ko Bhi Hans Kar NASIR
Gham Ko Sehnay Mein Bhi Qudrat Ne Maza Rakha Hai

       کلام حکیم ناصر
Kalam:Hakeem Nasir


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha