KuchTou Hawa Bhi Sard Thi , Kuch Tha Tera Khayal Bhi Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malaal Bhi



کچھ تو ہںوا بھی سرد تھی، کچھ تھا ترا خیال بھی
دل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہںوتا رہا ملال بھی
KuchTou Hawa Bhi Sard Thi , Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malaal Bhi

 
بات وہ آدھی رات کی، رات وہ پورے چاند کی
چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی
Baat Woh Aadhi Raat Ki , Raat Woh Pore Chand Ki
Chand Bhi Ain Cheet Ka Us Pe Tera Jamal Bhi

 
سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے دیکھتا
ایک دفعہ تو رک گئی گردش ماہ و سال بھی
Sab Se Nazar Bacha Ke Woh Mujh Ko Kuch Aise Dekhta
Aik Dafa Tou Ruk Gai Gardish Mah o Saal Bhi

 
دل تو چمک سکے گا کیا، پھر بھی ترش کے دیکھ لیں
شیشہء گراں شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی
Dil Tou Chamak Saky Ga Kia Phir Bhi Tursh Ke Dekh Lein
Sheesha e Giran Shahar Ke Haath Ka Ye Kamal Bhi


اس کو نہ پا سکے تھے جب دل کا عجیب حال تھا
اب جو پلٹ کر دیکھیے، بات تھی کچھ محال بھی
Usko Na Pa Sakay Thay Jab Dil Ka Ajeeb Hal Tha
Ab Jo Palat Kar Dekhiye , Baat Thi Kuch Mahal Bhi

 
میری طلب تھا ایک شخص وہ جو نہیں ملا تو پھر
ہاتھ دعا سے یوں گرا بھول گیا سوال بھی
Meri Talab Tha Aik Shakhs Woh Jo Nahi Mila Tou Phir
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawal Bhi

 
اس کی سخن طرازیاں میرے لیے بھی ڈھال تھیں
اس کی ہنسی میں چھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی
Uski Sukhan Taraziyan Mere Liye Bhi Dhal Thein
Uski Hansi Mein Chup Gaya Apne Ghamon Ka Hal Bhi

 
گاہ ء قریب شاہ رگ، گاہ ء بعید وہم و خواب
اس کی رفاقتوں میں رات ہجر بھی تھا وصال بھی
Gaah e Qareeb Shah Rag , Gaah e Baeed Waham o Khuwab
Uski Rafaqaton Mein Raat Hijar Bhi Tha Wisal Bhi


اس کے ہی بازوؤں میں اور اس کو ہی سوچتے رہںے
جسم کی خواہشوں پہ تھے روح کے اور جال بھی
Uske Hi Bazoun Mein Usko Hi Sochtay Rahe
Jism Ki Khuwahishon Pe Thay Rooh Ke Aur Jaal Bhi

 
شام کی ناسمجھ ہںوا پوچھ رہی ہںے اک پتا
موج ء ہںوائے کوئے یار، کچھ تو مرا خیال بھی
Sham Ki Na-Samajh Hawa Pooch Rahi Bany Ik Pata
Mouj Banwaye Koo e Yaar , Kuch Tou Mera Khayal Bhi


پروین شاکر
Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo