Sanson Ki Mehik Yaad Na Zulfon Ki Ghata Yaad Ab Kuch Nahi Bikhre Hoe Khuwabon Ke Siwa Yaad


 

سانسوں کی مہک یاد نا زلفوں کی گھٹا یاد
اب کچھ نہیں بکھرے ہوئے خوابوں کے سواء یاد
Sanson Ki Mehik Yaad Na Zulfon Ki Ghata Yaad
Ab Kuch Nahi Bikhre Hoe Khuwabon Ke Siwa Yaad


پتھر کے صنم کا میں پجاری سہی لیکن
دیکھوں جو کسی بت کو تو آتا ہے خدا یاد
Pathar Ke Sanam Ka Main Pojari Sahi Lekin
Dekhon Jo Kisi Butt Ko Tou Aata Hai Khuda Yaad


جو درد مجھے میرے مسیحا نے دیا ہے
اب میرے مسیحا کو نہیں اس کی دوا یاد
Jo Dard Mujhe Mere Maseeha Ne Diya Hai
Ab Mere Maseeha Ko Nahi Uski Dawa Yaad

 
پہنچا جو تصور میں تمناؤں کے در پر
آئی ہے تیرے کانپتے ہونٹوں کی صدا یاد
Pahuncha Jo Tasawwar Mein Tamannaoun Ke Dar Par
Aai Hai Tere Kanptay Honton Ki Sada Yaad

 
اس دور میں جینا پڑا جس کے لیے خاور
وہ مجھ سے بچھڑتا ہے تو آتی ہے قضاء یاد
Us Daur Mein Jeena Pada Jis Ke Liye KHAWAR
Woh Mujh Se Bichadta Hai Tou Aati Hai Qaza Yaad

 
شاعر    خاور
Poet:Khawar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo