Maikaday Ke Siwa , Humara Pata Unki Zulfon Ke Aas Paas Mila



دل  ملا  او ر  غم شناس  ملا

پھول کو آگ کا  لباس  ملا

 Dil Mila Aur Gham-Shanaas Mila

Phool Ko Aag Ka Libas Mila

 

ہر شناور بھنور میں ڈوبا تھا

جو ستارہ ملا اُداس  ملا

 Har Shanawar Bhanwar Mein Dooba Tha

Jo Sitara Mila Udaas Mila

 

میکدے کے سوا، ہمارا پتا

ان کی زلفوں کے آس پاس ملا

Maikaday Ke Siwa , Humara Pata

Unki Zulfon Ke Aas Paas Mila

 

مجھ کو تقدیر کی گزر کہ میں

صرف تدبیر کا ہراس ملا

 Mujh Ko Taqdeer Ki Guzar Keh Main

Sirf Tadbeer Ka Haras Mila


آب حیواں کی دھوم تھی ساغرؔ

سادہ پانی کا اک گلاس ملا

 Aab Haiwan Ki Dhoom Thi SAGHAR

Sada Paani Ka Ik Glass Mila


ساغرؔ  صدیقی

Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo