Usko Tou Kabhi Mujh Se Muhabbat Hi Nahi Thi Kion Aaj Woh Phir Mera Pata Dhoond Raha Hai



پت جھڑ میں بہاروں کی فضا ڈُھونڈ رہا ہے
پاگل ہے جو دُنیا میں وَفا ڈُھونڈ رہا ہے
Pat Jhad Mein Baharon Ki Fiza Dhoond Raha Hai
Pagal Hai Jo Dunya Mein Wafa Dhoond Raha Hai

 
خُود اپنے ہی ہاتھوں سے وہ گھر اپنا جلا کر
اَب سر کو چُھپانے کی جگہ ڈُھونڈ رہا ہے
Khud Apne Hi Haathon Se Woh Ghar Apna Jala Kar
Ab Sar Ko Chupanay Ki Jagah Dhoond Raha Hai

 
کل رات تو یہ شخص ضیا بانٹ رہا تھا
کیوں دِن کے اُجالے میں دِیا ڈُھونڈ رہا ہے
Kal Raat Tou Ye Shakhs Zia Bant Raha Tha
Kion Din Ke Ujalay Mein Diya Dhoond Raha Hai

 
شاید کے ابھی اُس پہ زوال آیا ہوا ہے
جُگنُو جو اندھیرے میں ضیا ڈُھونڈ رہا ہے
Shayed Ke Abhi Us Pe Zawal Aaya Hoa Hai
Jugno Jo Andhere Mein Zia Dhoond Raha Hai

 
کہتے ہیں کہ ہر جا پہ ہی موجُود خُدا ہے
یہ سُن کے وہ پتَّھر میں خُدا ڈُھونڈ رہا ہے
Kehtay Hein Keh Ja Pe Hi Moujood Khuda Hai
Ye Sun Ke Woh Pathar Mein Khuda Dhoond Raha Hai

 
اُسکو تو کبھی مُجھ سے محبت ہی نہیں تھی
کیوں آج وہ پھر میرا پتا ڈُھونڈ رہا ہے
Usko Tou Kabhi Mujh Se Muhabbat Hi Nahi Thi
Kion Aaj Woh Phir Mera Pata Dhoond Raha Hai

 
کِس شہرِ مُنافِق میں یہ تُم آ گۓ ساغر
اِک دُوجے کی ہر شخص خطا ڈُھونڈ رہا ہے
Kis Shehar e Munafiq Mein Ye Tum Aa Gaye SAGHAR
Ik Dojay Ki Har Shakhs Khata Dhoond Raha Hai

 
ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai