Maal Naghama o Matam Firokht Hota Hai Khushi Ke Saath Yahan Gham Firokht Hota Hai



مآل نغمہ و ماتم فروخت ہوتا ہے
خوشی کے ساتھ یہاں غم فروخت ہوتا ہے
Maal Naghama o Matam Firokht Hota Hai
Khushi Ke Saath Yahan Gham Firokht Hota Hai


وہ جس کو آج بھی کچھ لوگ حسن کہتے ہیں
بصد نگارش پیہم فروخت ہوتا ہے
Woh Jisko Aaj Bhi Kuch Log Husn Kehtay Hein
Basad Nigarash Peeham Firokht Hota Hai


فریب خوردہ تبسم خریدنے کے لیے
وقار دیدۂ پر نم فروخت ہوتا ہے
Faraib Khurdah Tabassum Khareednay Ke Liye
Waqar Deedah e Pur Nam Firokht Hota Hai


بڑے حسین گھنیرے سیاہ پردوں میں
جمال عصمت مریم فروخت ہوتا ہے
Baday Haseen Ghanere Siah Pardon Mein
Jamal Asmat o Maryam Firokht Hota Hai


بہار وادیٔ گنگ و جمن کے ساتھ یہاں
وقار کوثر و زمزم فروخت ہوتا ہے
Bahar Wadi e Gang o Jaman Ke Saath Yahan
Waqar Kousar o Zamzam Firokht Hota Hai

وہ جسم مرمریں نظریں بھی جس کو چھو نہ سکیں
برائے رونق عالم فروخت ہوتا ہے
Woh Jism Mar Mareen Nazren Bhi Jisko Chho Na Saken
Baraye Ronaq Aalam Firokht Hota Hai


طلسم خانۂ صد رنگ و بو میں اے ساغرؔ
فریب شعلہ و شبنم فروخت ہوتا ہے
Talasm Khana e Sad Rang o Bo Mein Ae SAGHAR
Faraib Shoula o Shabnam Firokht Hota Hai

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui

مجموعہء کلام =کلیات ساغر
صفحہ نمبر =86 ،87
Book=Kulyat Saghar
Page=86-87


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo