Ikka Dukka Log Siyanay Hote Thay Kisi Kisi Ke Ghar Mein Danay Hote Thay
اِکّا دُکّا لوگ سیانے ہوتے تھے
کِسی کِسی کے گھر میں دانے ہوتے تھے
Ikka Dukka Log Siyanay Hote Thay
Kisi Kisi Ke Ghar Mein Danay Hote Thay
سو تک گِنتی کِسی کِسی کو آتی تھی
ایک روپے میں سولہ آنے ہوتے تھے
Sao Tak Ginti Kisi Kisi Ko Aati Thi
Aik Ruppy Mein Sola Aanay Hote Thay
گاؤں میں بس ایک ہی مسجد ہوتی تھی
ہر دِل میں بس چار ہی خانے ہوتے تھے
Gavoun Mein Bas Aik masjid Hoti Thi
Har Dil Mein Bas Chaar Khanay Hote Thay
جُھوٹی قسمیں شہر میں تھیں اور گاؤں میں
بس تکیے پر پُھول بنانے ہوتے تھے
Jhooti Qasmein Shehar Mein Thein Aur Gavoun Mein
Bas Takiye Par Phool Bananay Hote Thay
گمراہوں کو راہ پہ لانا آساں تھا
بس منڈیر پہ دِیے جلانے ہوتے تھے
Gumrahon Ko Rah Pe Lana Aasaan Tha
Bas Mander Pe Diye Jalanay Hote Thay
چل جاتے تھے جادو ٹونے اور تعویز
سادہ لوگ اور سچّے زمانے ہوتے تھے
Chal Jate Thay Jadoo Tonay Aur Ta'aweez
Sadah Log Aur Sachay Zamane Hote Thay
Comments
Post a Comment