Karon Na Yaad , Magar Kis Tarah Bholaoun Usay Ghazal Bahana Karon Aur Gungunaoun Usay



کروں نہ یاد، مگر کس طرح بھلاؤں اُسے
غزل بہانہ کروں اور گنگناؤں اُسے
Karon Na Yaad , Magar Kis Tarah Bholaoun Usay
Ghazal Bahana Karon Aur Gungunaoun Usay

وہ خار خار ہے شاخِ گلاب کی مانند
میں زخم زخم ہوں پھر بھی گلے لگاؤں اسے
Woh Khaar Khaar Hai Shakh e Gulaab Ki Manind
Main Zakham Zakham Hoon Phir Bhi Galy Lagaoun Usay

یہ لوگ تذکرے کرتے ہیں اپنے لوگوں کے
میں کیسے بات کروں، اب کہاں سے لاؤں اسے
Ye Log Tazkere Karte Hein Apne Logon Ke
Main Kaise Baat Karon , Ab Kahan Se Laoun Usay

مگر    وہ زود فراموش، زود رنج بھی ہے
کہ روٹھ جائے، اگر یاد کچھ دلاؤں اسے
Magar Woh Zod Faramosh , Zod Ranj Bhi Hai
Keh Rooth Jaye , Agar Yaad Kuch Dilaoun Usay

وہی جو دولتِ دل ہے وہی جو راحتِ جاں
تمہاری بات پہ اے ناصحو! گنواؤں اسے
Wahi Jo Daolat e Dil Hai Wahi Jo Rahat e Jaan
Tumhari Baat Pe Ae Nasiho ! Ganwaoun Usay

جو ہمسفر سرِ منزل بچھڑ رہا ہے فرازؔ
عجب نہیں ہے اگر یاد بھی نہ  آؤں اسے
Jo Humsafar Sar e Manzil Bichad Raha Hai FARAZ
Ajab Nahi Hai Agar Yaad Bhi Na Aaoun Usay

احمد فراز
Ahmad Faraz

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha