Zamane Bhar Ki Nigahon Mein Jo Khuda Sa Lagay Woh Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagay



زمانے بھر کی نگاہوں میں جو خدا سا لگے 

 وہ اجنبی ہے مگر مجھ کو آشنا سا لگے

Zamane Bhar Ki Nigahon Mein Jo Khuda Sa Lagay

Woh Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagay

نجانے کب مِری دُنیا میں مُسکرائے گا

وہ ایک شخص کہ خوابوں میں بھی خفا سا لگے

 Najane Kab Meri Dunya Mein Muskurayega

Woh Aik Shakhs Keh Khuwabon Mein Bhi Khafa Sa Lagay

عجیب چیز ہے یارو یہ منزلوں کی ہوس

کہ راہزن بھی مسافر کو رہنما سا لگے

 Ajeeb Cheez Hai Yaro Ye Manzilon Ki Hous

Keh Rahzan Bhi Musafir Ko Rahnuma Sa Lagay

دِل تباہ! تِرا مشورہ ہے کیا کہ مجھے

وہ پھول رنگ ستارہ بھی بے وفا سا لگے

Dil Tabah ! Tera Mashwara Hai Kia Keh Mujhe

Woh Phool Rang Sitara Bhi Bewafa Sa Lagay

ہُوئی ہے جس سے منور ہر ایک آنکھ کی جھیل

 وہ چاند آج بھی محسن کو کم نما سا لگے

Hoi Hai Jis Se Munawar Har Aik Aankh Ki Jheel

Woh Chand Aaj Bhi MOHSIN Ko Kam Numa Sa Lagay

محسن نقوی
Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo