Surmaai shaam ke andheeron mei Terri gehri bolti aankhein



سرمئی شام کے اندھیروں میں
تیری گہری بولتی  آنکھیں
مجھ سے اظہار کرنے آتی ہیں
تیرے ہاتھوں کا نرم گرم لمس
میرے رخسار چھو کے جاتا ہے
مجھ کو جاناں بہت ستاتا ہے
کوئی جھونکا بہت ہی مستی میں
جب دامن سے لپٹ جاتا ہے
 میرا دل بس تجھے بلاتا ہے
سرمئی شام کے اندھیروں میں
Surmaai shaam ke andheeron mei
Terri gehri bolti aankhein
Mujh se izharr karny aati hein
Terry hathon ka naram garam lamas
Mery rukhsaar choo ke jata ha
Mujh ko jaana bohat satata ha
Koi jhoonka bohat he masti mein
Jab daman se lipatt jaata ha
Mera Dil bas tujhy bulaata ha
Surmaai shaam ke andheeron mein


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo