Kabhi Apne Ishq Pe Tabsere Kabhi Tazkere Rukh e Yaar Ke Yunhi Beet Jaeingy Ye Bhi Din Jo Khizan Ke Hein Na Bahar Ke



کبھی اپنے عشق پہ تبصرے، کبھی تذکرے رُخِ یار کے
یونہی بِیت جائیں گے یہ بھی دن، جو خِزاں کے ہیں نہ بہار کے

Kabhi Apne Ishq Pe Tabsere Kabhi Tazkere Rukh e Yaar Ke

Yunhi Beet Jaeingy Ye Bhi Din Jo Khizan Ke Hein Na Bahar Ke


یہ طلِسمِ حُسنِ خیال ہے، کہ فریب فصلِ بہار کے ​
کوئی جیسے پُھولوں کی آڑ میں ابھی چُھپ گیا ہے پُکار کے

Ye Talasum e Husn Khayal Hai Keh Qareeb Fasl e Bahar Hai

Koi Jaise Phoolon Ki Aad Mein Abhi Chup Gaya Hai Pukar Ke


سِیو چاکِ دامن و آستیں، کہ وہ سرگراں نہ ہوں پھر کہِیں ​
یہی رُت ہے عِشرتِ دِید کی، یہی دِن ہیں آمدِ یار کے

Seyo Chaak e Daman o Aasteen , Keh Woh Sar Garaan Na Hoon Phir Kahein

Yahi Rut Hai Ishrat e Deed Ki , Yahi Din Hein Aamad e Yaar Ke


ابھی اور ماتمِ رنگ و بُو کہ چمَن کو ہے طَلَبِ نمُو
تِرے اشک ہوں کہ مِرا لہُو، یہ امِیں ہیں فصلِ بہار کے

Abhi Aur Matam e Rang o Boo Keh Chaman Ko Hai Talab e Namo

Tere Ashk Ho Keh Mera Lahoo , Ye Ameen Hain Fasl e Bahar Ka 

سرور بارہ بنکوی

Suroor Bara Barah Bankvi

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai