Yaad hai tumhain wo baarishoon key din



"بارشوں کے دن"
یاد ہے تمہیں وہ بارشوں کے دن
جب بوندیں آسمان سے گر کر زمین سے ٹکراتی تھیں
تمہارے گھر کے دروازے تک پہنچنے والی گلی
بارش کے باعث بہتی ہوئی ندی بن جاتی تھی
اس ندی سے گزرتے ہوئے تمہارے قدموں کے نشانات کے ساتھ
چل کر تمہارے دروازے تک آ پہنچتا تھا
بارش میں تمہارے ساتھ بیٹھ کر کچھ پل گزارتا تھا
تمہاری کالی زلفوں کا رقص
دریا کی جھومتی لہروں کی یاد دلاتا تھا
اب نہ جانے وہ دن کہیں کھو گئے
شاید وہ ندی کے ساتھ بہہ گئے
اب بھی بارش ہوتی ہے
اب بھی وہ گلی ندی کی طرح بہتی ہے
لیکن اب بارش کے دنوں میں
گلی میں بھٹکتا رہتا ہوں
گلی میں تمہارے گھر کے نشانات ڈھونڈھتا رہا ہوں برسوں سے
اب وہ ندی تمہارے دروازے تک نہیں پہنچاتی
شاید ندی نے رخ موڑ لیا ہے
اب تیرے گھر سے جو نہیں گزرتی.
"Baarishoon key din"
Yaad hai tumhain wo baarishoon key din
Jub boondain aasman se gir kar zameen se takraati thin
Tumhaaray ghar key darwazay tak pohanchay wali gali baarish key baies behti hoi nadi ban jati thi
Ess nadi se guzartay howay tumharay qadmoon key nishanaat key saath
Chal kar tumharay darwazay tak aa pohanchta tha
Baarish main tumharay saath baith kar kuch pal guzaarta tha
Tumhari kaali zulfoon ka raqs
Darya ki jhoomti lehroon ki yaad dilaata tha
Ab na janay wo din kahin kho gaye
Shaied wo nadi key saath beh gaye
Ab bhi baarish hoti hai
Ab bhi wo gali nadi ki tarha behti hai
Laikin ab baarish key dinoon main
Gali main bhatakta rehta hon
Gali main tumharay ghar key nishaanat dhondt'ta raha hon barsoon se
Ab wo nadi tumharay darwaazay tak nahi pahunchati shaied nadi ne rukh mod liya hai
Ab teray ghar se jo nahi guzarti.


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo