Aaye Hein Woh Mazaar Pe Ghonghat Utar Ke Mujh Se Naseeb Achay Hein Mere Mazaar Ke
آئے ہیں وہ مزار پہ گھونگھٹ اتار کے
مجھ سے نصیب اچھے ہیں میرے مزار کے
Aaye Hein Woh Mazaar Pe Ghonghat Utar Ke
مقتل میں حال پُوچھو نہ مجھ بیقرار کے
تم اپنے گھر کو جاؤ چھری پھیر پھار کے
Maqtal Mein Haal Na Poocho Na Mujh Be-Qarar Ke
Tum Apne Ghar Ko Jao Churi Phair Phar Ke
بجلی کبھی گِری کبھی صیاد آگیا
ہم نے تو چار دن بھی نہ دیکھے بہار کے
Bijli Kabhi Giri Kabhi Sayyad Aa Gaya
Hum Ne Tou Chaar Din Bhi Na Dekhe Bahaar Ke
اللہ جانے قبر ہے کس نامراد کی
ارمان رو رہے ہیں سرہانے مزار کے
ALLAH Jane Qabar Hai Kis Na-Murad Ki
Arman Ro Rahe Hein Sahane Mazar Ke
صیاد تیرے حکم رہائی کا شکریہ
ہم تو قفس میں کاٹ چکے دن بہار کے
Sayyad Tere Hukam Rehaai Ka Shukria
Hum Tou Qafas Mein Kaat Chuky Din Bahaar Ke
وعدہ تو کر گئے ہیں قمر مجھ سے شام کا
کیسے کٹیں گے چار پہر انتظار کے
Wada Tou Kar Gaye Hein QAMAR Mujh Se Shaam Ka
Kaise Katengy Chaar Pehar Intezar Ke
استاد قمر جلالوی
Ustad Qamar Jalalvi
Comments
Post a Comment